Tuesday, June 2, 2009

Mai yahan tu wahan, zindagi hai kahaan Lyric

Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahaan.......(2)
Tu hi tu hai sanam dekhta hoon jahan
Neend aati nahin,yaad jaati nahin....(2)
Bin tere ab jeeye jaaye na
Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahaan
Waqt jaise theher gayaa hai yahin,har taraf ek ajab udaasi hai
Beqaraari ka aisa aalam hai jism tanha hai rooh pyaasi hai

Teri surat ab ek pal kyun nazar se hatthi nahin
Raat din to kat jaate hai umr tanha katthi nahin
Chaahke bhi na kuch keh sakoo tujhse mai.....(2)
Dard kaise karu mai bayaan
Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahaan

Jab kahin bhi aahat hui yun lagaa ki tu aagaya
Khushboo ke jhoonke ki tarah meri saansein mehka gaya
Ek woh din the hum sadaa paas the....(2)
Ab to hai faasle darmiyan
Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahan
Hmmm........

Beeti baatein yaad aati hai jab akela hota hoon mai
Bolti hai khaamoshiyan sabse chupke rota hoon mai
Ek arsaa hua muskuraaye hue.....(2)
Aansuon mein dhali daastan
Mai yahan tu wahan..,zindagi hai kahaan
Tu hi tu hai sanam dekhta hoon jahan
Neend aati nahin yaad jaati nahin...(2)
Bin tere ab jiye jaaye na...

No comments: